12/26/17

Labon se labon ka chhu jana.... ๐Ÿ˜™๐Ÿ˜š๐Ÿ˜š

Labon se labon k chhune ka asar
Na pucho hota hai kya wo gazab
Thartharahut si hoti hai tan me
Jab lab se chhu jate hain lab

Chhukar jab dur hote hain lub
jagti hai kaisi pyaas ajab
taraste hain wahi jam pine ko
kab mile the lab se unke lab

 Aise me ho jaye barsaat agar
Uffff fir to na ruka jaye ab
Na dur reh paye fir sanam se
Agar aise me lab se mil jayen lab

Simat jayen aakar fir hum unme
Kho jayen unme kuch iss kadar
Na hosh rahe rasmo riwaz ka
Jab unke labon se mil jayen lab

Ho jaye har muraad unki puri
Bikhar jaun main unke kadmon par
Na reh jaye fir koi rasm bhi baki
Jab lab se mil jayen  unke lab...!!!