2/14/18

Accha Lgta Hai... ๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜ PART-3

Mai tumhe subh neend se uthana to nhi chahta..,
pr mujhe tumse baatein krna accha lgta hai..! 
Mai yaad karu tumko Aur tumhara msg aa jana accha lgta hai...! 
Tumhara yun achanak se call krna..., 
meri dil ki dhadakane bdha deta hai... Magar accha lgta hai....! 
Itni aasani se tumhara saare ilzaam mujh pr lga dena accha lgta hai...! 
Waise to main mauka nahi deta kisi ko roothne ka.., 
Par jaan-bujh kar tumhe ruth kar manana acha lagta hai...! 
Tumhari Tasveer ko baar baar dekhna aur fir bewjh muskurana Accha lgta hai...! 
Jab Tanha hote hai tumhari baaton ko yaad karte hai to Acha lagta hai..! 
Tumhare sang khawabon me khwab sajana achha lagta hai...! 
Roz raat ko khawbo mein sapno ki duniya mein tumhare saath jana Acha lagta hai..! 
Kabhi tumhare naam ke sang apna naam batana achha lagta hai.  
Bas ek tum hi ho jisse mujhe sb kuch batana achha lagta hai..!
        Written by :- Adarsh Maurya