4/23/18

Just Kota things... ๐Ÿ‘‡

Bas Itni si thi kahaani meri…

Ek JEE ka exam tha, jo sar pe baitha tha ;

Kuch faculty members the jo Ab bhi is umeed me the,

Ki Dimag shayad phir se chal pade;

Ek Dost tha Jo sone ke piche Paagal tha;

Ek aur exam tha, BIT-SAT;

jispe sab kuch haar diya tha maine;

Meri Maa thi , papa the , Kota ki galiyaan thi.

Aur ek ye hamara dimag tha, jo hamara sath chor chuka tha;

Aur ye ek hamari umeed thi…jisme ab bhi aag baaki thi;

Hum padh sakte the,

Par kiske liye …….

Hum Top kar sakte the,

Par kiske liye ……

Mera Pyar IIT-JEE, BIT-SAT, VIT-EEE, UPTU, WBJEE sab mujhse choot raha tha;

Par padhte bhi kiske liye…

Mere Dil ki umeed ya toh mujhe fail Kara sakti thi ya top kara sakti thi;

Par sala kaun phir se mehnat kare,

Kota jaye , sheet lagaye,

Abe koi toh awaaaz deke Rok lo….

Ye JEE ka exam jo muh chidhaye baitha hai na aaj bhi,

agar bol de ki crack ho jaunga..

Toh Mahadev ki Kasam..

Abhi padhne baith jaye.

Par nahi…

Ab sala mood nahi hai,

Aankhe moond Lene me hi Sukh hai..

Sone me hi bhalai hai.

Par uthenge kisi roz,

Usi chambal ghat ke kinaare,

Dosto ke sath baithne Ko ….

phir kisi IIT – IIM pe fidaa ho jaane ko.

POSTED BY:- Adarsh Maurya
Credit :- Taentalizing Yash
Copied from:-  Kota's life and luv(Fb)  Post Source