11/26/18

BACHPAN KA ZAMANA ..!

"EK BACHPAN KA ZAMANA tha"
Khushiyo ka khazana tha..
Chahat chaand ko paane ki.dil titli ka diwana tha.
Khabar na thi kabhi subah ki aur na hi shaam ka thikana tha..

Thak haar ke aana school se.
Par khelne bhi jaana tha..
Dadi ki kahani thi.
Pariyo ka fasana tha..
Barish me kagaz ki kashti thi.
Har mousam suhana tha.
Har khel me saathi the..
Har rishta nibhana tha..
Gham ki zuba'n na hoti thi.
Na hi Zakhmo'n ka Paimana tha..
Rone ki wajah na thi, Na hasne ka bahana tha.
Kahan wo Daur aur Kahan Ye zindagi,
Kitna pyara, BACHPAN KA ZAMANA thaa!