3/17/19

Kya karna..?

Koi ghazal suna kar kya karna,
Yun baat badha kar kya karna...

Tum mere thay tum mere ho,
Duniya ko batakar kya karna..

Tere dar par aakar baithe hain,
Ab ghar bhi jakar kya karna...

Din yaad se acha guzrega,
Phir tum ko bhulakar kya karna...?