Gentleman kise kehte hai?
You know, mard ka ek stereotype hai,
Badi macho waali hype hai
Wo ghar chalaayega
Ladki ko bachaayega
Wo royega nahi, weak nahi hoga
Mujhe laga ye toh kuch theek nahi hoga
Mujhe na hero, na saviour, na superman banna tha
Jo ro sake, jo ga sake
Kisi ko bacha paye toh bacha sake, aisa man banna tha
Main Hindi mein senti hota hoon,
Punjabi mein gaata hoon, aisa man.
Tie baandhna mujhe nahi aata, par khaana theek thaak banata hoon, aisa man.
Tumhaari English slow hai ya fast hai,
Mujhe faraq nahi padta
Tum gay ho, straight ho, tumhari kya caste hai,
Mujhe faraq nahi padta.
I know that the ads have told you to play it too cool and Father asked you to be disciplined as if you are always in school.
Unhone bola, “Gentleman bano”
But ye bhi bola ki “Man ka gentle hona kharaab hai”
Kyoki tumhe to honour bachaana hai
Jaadu waala perfume lagaana hai
Ussi se ladkiyan tumpe marengi.
Par marengi kyun?
Unhe marna nahi chaahiye,
Main Jahan hoon, jahan khada hoon
Unhe darna nahin chaahiye.
Pink aur pink floyd ke beech mein,
Wo kuch bhi pasand kar sakta hai.
Andhera zyaada ho, to wo bhi dar sakta hai
Kyunki violence uske saath bhi hua hai
Patriarchy ne usko bhi galat tareeke se chhua hai
Wo jaldi jaldi bada hone ke bojh ke neeche bandha hota hai,
Dil uska bhi 300 gram ka hi hota hai
Par uspe lohe ka social cover chadha hota hai
Usey bas car aur gun ke khilaunon mein mat baandho,
Jab wo bachcha ho
Zaroori nahi ki driver achcha ho
Ho sakta hai ki machinon ke kaam me thoda kachcha ho
Par mard hone ki iklauti shart yahi hai ki sachcha ho.
Ab zaroori nahi ki mera passion guitar ho, cool ho
Mere haath mein ladki ke liye phool ho
Ho sakta hai ki mere paas lambi gaadi ho
Ho sakta hai ki life ki har ek ride pool ho.
Tumhe pata hai, bachcho ko mai bhi sambhalta hoon
Wo thak ke aati hai, to ginger waali chai bhi ubaalta hoon
Ladka aur ladki mein farq bahut hain
aur ye farq khoobsurat hain,
Ye main jaanta hoon,
Par farq karne ko sabse badha gunaah maanta hoon.
Shayad isliye, isliye apne bete se kehta hoon
Ki zaroori nahi unke liye kursi kheenchna,
Ya gaadi ka darwaaza kholna
Par jab kuch galat ho, to sabse pahle bolna.
Kyunki six pack se nahi bante hain mard
Na zyaada kamaane se bante hai,
Na chilaane se
Na aansu chhupaane se bante hai
Kisi aur ko thand lagti hai to dil uska bhi sard hota hai
Ki jisko dard hota hai
Asal mein wo hi mard hota hai
Tu chaahe carpet pe soye,
Chaahe red carpet pe chale
Let me tell you, you are the most powerful, as long as there lives a Gentleman in you!
– Gaurav Solanki
Special Poetry On International Men’s Day