10/5/20

Ladke....

Hum wo hai jinhe paida hote hi ummedo se laad diya jata h
fir thode bde hote hi kitabo ka bojh daal diya jata hai
bde laad se rkha jata hai,bda pyaar kiya jata hai
kbhi kbhi galtiyon pr daant bhi diya jata hai
to kbhi kbhi srarton pr hume maar bhi diya jata hai
aur fir humare rone pr humein puchkaar bhi diya jata hai
aur bde pyaar se humein smjha diya jata hai 
ki tum ldke ho aese thodi roya jata hai
tumhare aansuon ko tumhari aankhon me kaid kr diya jata hai
tumhari bhavnaon ko tumhare dimag me baand diya jata hai
tumhari kabiliyat tumhare marks pr judge ki jati hai
aur tumhari aukaat tumhare kpdon se hi bta di jati hai
tumhari taqat tumhari bajuon se naap li jati hai
aur tumhari khoobsurati tumhari shql se hi smjh li jati hai
tumhari nakamyabi pr tum pr hsa bhi jata hai
to tumhari safalta pr kismat ka tag bhi lga diya jata hai
tumhare pyaar ko kitna easily chutiyapa keh diya jata hai
tumhari ki hui chijon ko pagalpan samjh liya jata hai
tumhare dil tutne pr haath me madira thma diya jata hai
to tumhare adhure pyaar ko katwaliya ka tag de diya jata hai
tumhari feelings ka gala ghot diya jata hai
aur tumhare emotions ko fasi pr chadha diya jata hai
aur bdi saralta ke sath keh diya jata hai 
ki tum ldke ho aese toota thodi jata hai..!!

Some best lines By 'Gareeb'.